Total Pageviews

Friday, May 16, 2014

Ek raat ki baat hai...

Aaj phir poora din nikal gaya, kuch dhoondhaa nahi. Toh ab raat mein kahaaniyon ke peeche nikla hoon.
11:54 ho rahe hai. Koi aisi film mil jaaye jismein apne aap ko dekh sakoon… yaa aur bhi behtar apne aap ko jee sakoon. Kyonki jeevan thoda kas saa raha hai aajkal. Darasal meri baaton mein mat aayiye, lekhak hoon, naa chahte hue bhi cheezon ko tod marod kar keh deta hoon. Par sach mein, seedhe seedhe shabdon mein bhi kahoon to jeevan thoda kam saa lag raha hai aajkal.
Aur filmein poori. Uss poorepan ki talaash mein apni harddrive ki drive par niklaa hoon. Koi chehra aisa dikh jaaye jise bhulaa naa paoon, ya kuch lavs jo mann ke khaalipan mein jagah banaa sake, koi shareer, kisi ki aahein, koi frame, sound track… kuch bhi chelgaa. Darasal soundtrack itna samajh mein nahi aata dil ko, Aaj kal shareer lagta hai zor se...
Filmon se itnaa mil jaata hai ki asal jindagi se ummedein kam karna aasaan ho jaataa hai. Haan kuch filmein kabhi kabhi aisi dikh jaati hai  jo aapki saari thakaan dho deti hai aur achaanak apko nazar aata hai aapka saaf jeevan. Uski saaf gandagi, saaf naainsaafiyaan, shaitaaniyaan, mauke, khushi… khoob saari khushi…
Kya baat kar raha hai… yeh sabh jee raha hoon mein?
Koi kareebi rishteydaar mar jaaye toh rona nahi aata, par filmon mein har chotti si naa khushi aise uthkar aati hai tsunami ki tarah ki bhaagne kaa khayaal bhi nahi aataa. 12:19 ho gaye. Daaye yaa baayein?
Dukh ho raha hai bahut. Pataa nahi kyon… jiss par pyaar aayaa usse keh nahi paaya. Closet drama bahut dekhtaa hoon. Kabhi asal zindagi mein jiya nahi naa… dukh hota hai ki kabhi dukh dekha nahi… warna filmon ki zaroorat hi nahi padti. Kaafi time bach jaataa. Time aur jeevan.
Jeevan ko bachaane mein lagaa hoon bas. Log kehte hai VLC se achchaa koi video player nahi, par mera VLC player aksar ataktaa hai. Update shapdate sab kar kar dekh liyaa.  

   

  

3 comments:

Dowdy gal said...
This comment has been removed by the author.
Shivam S said...

Well... I cant thank you enough for reading :)

Shivam S said...

Well... I cant thank you enough for reading :)